Kya Shadeed-E-Mohabbat Kee Zamaanat Nahin Hoti
Kya Yaad-E-Jaanaa Wafa Kee Amaanat Nahin Hoti
Jin Aankhon Ne Chaaha Ho Dekhein Aaj Haqaarat Se
Ho Jazzba-E-Ishq-E-Saadiq Tau Kya Nafrat Nahin Hoti
Wo Aaj Arsey Baad Meri Dehleej Pe Aa Raha Thaa
Maah-O-Khursheed Sa Sabka Dil Lubhaa Raha Thaa
Uski Aankhon Mein Shanasaayi Ki Lau Hi Na Thee
Go Dil Mera Betarah, Beqaabu Huye Jaa Raha Thaa
Meri Nazzron Mein Aaj Bhi Wo Maahpaara Thaa
Shayad Main Hi Use Badla Badla Nazar Aa Raha Thaa
Apna Haq, Apna Husn, Apni Hansi Maang Loon Us Se
Par Wo Kab Apni Nazzrein Mujhse Mila Raha Thaa
Wo Chup Raha, Aankh Bhar Ke Bhi Na Dekha Us Ne
Jaane Yeh Qaatil Andaaz Kahan Se Seekha Us Ne
Humne Bhi Na Maanga Hisaab Apni Tanhaayi Ka
Palat Kar De Diya Ankahe Sawaal Ka Jawaab Teekha Usne
Kar Diya Thaa Usne Judaa Hamein Palon Mein
Laa Khada Kiya Thaa Bus Hamein Gairon Mein
Go Jab Bhi Dil Uska Duubega Aur Aankhein Hongi Nam
Khuda Kasam Thaam Leinge Usko Hum Baahon Mein
Surkh-Ruu Rahe Uski Har Muraad Mere Maula
Uski Aana, Humse Na-Ashnaayii Rahe Aabaad Mere Maula
Afsos Na Pighlaa Sake Kabhi Hum Uske Dil Ko
Barsaa Khushiyaan, Kar Tuu Dil Uska Shaad Mere Maula