Kya Meri Asliyat Kya Meri Pehchan
Miti Main Mil Jaunga Hu Miti Se Bana Insaan
Khilona Khwab Ka Liye Firta Hu
Jhujti Hui Haqeeqaton Ke Dauraan
Uthkar Sambhalta Raha Na Jaane Kaise
Anginat Giravaton Ke Darmiyaan
Raah-E-Wafa Se Kabhi Jo Ho Guzar To Dekhna
Hain Ret Par Aaj Bhi Kuch Kadmon Ke Nishaan
Raaste Aksar Dikhate Hai Unhe Rasta
Saath Na Ho Jinke Humsafar Na Karwaan
Daulat Aur Shohrat Se Kabhi Na Tola Kijiye
Mere Sher Hi Hain Meri Aakhri Pehchhan.