Kya Lii Thii Ijazzat
Nainon Ke Raste, Yun Chupke Se Aake, Lekar Tu Mera Yeh Dil Gaya
Humko Mita Ke, Tu Dhuunde Hain Dil Ko, Hua Kya Jo Tera Yeh Dil Gaya
Door Ufaq Mein Doobte Shams Ka Yeh Manzar
Surkh Alam Mein Nahaayi Yeh Zameen Aab-E-Zar
Jharanon See Kiranon Se Raushan Yeh Rahguzar
Aise Mein Chedha Kyun, Taaron Ko Dil Ke, Hua Kya Jo Tera Yeh Dil Gaya
Yeh Bojhal Ghataaon Kaa Tham Tham Barasna
Yeh Be-Hosh Ruuhon Kaa Sang Sang Tadapna
Aanch Paakar Meri, Tera Pal Pal Pighalna
Gale Se Laga Ke, Hosh Mere Udha Kei, Hua Kya Jo Tera Yeh Dil Gaya
Tera Hothon Pe Ungali Se Mujhe Chup Karaana
Ghum Sum Sa Mera Palakein Bhi Naa Jhukaana
Labon Kii Jumbish Ko, Daanton Tale Yoon Dabaana
Aanchal Ko Behkaya, Thaa Mujhko Rulaaya, Hua Kya Jo Tera Yeh Dil Gaya
Iss Bheege Se Alam Mein, Tum Mere Saamne Raho
Kuch Main Khoyi Rahoon, Kuch Tum Duube Se Raho
Padh Kar Meri Nazzron Ko, Tum Bhi Chup Chup Se Raho
Meri Jaan-E-Wafaa, Tuu Nashe Mein Hai Chur, Hua Kya Jo Tera Yeh Dil Gaya
Ho Qareeb Hee Manzil, Par Gazab Kee Ho Doori
Meri Jaan Tuu Bata, Hai Yeh Kaisee Majbuuri
Teri Paras Kya Rahegi Hamesha Hii Adhuuri
Rahoon Gungunati, Tere Labon Pe Ghazal Si, Hua Kya Jo Tera Yeh Dil Gaya
Ufaq = Horizon
Shams = Sun
Aab-E-Zar = Liquid Gold
Jumbish = Movement