Kured Ke Mere Zakhmon Ko use Kya Milaa Hoga
Lahoo Ke Har Katre Men Apna Aks Dikhaa Hoga
Mohabbat Ka Isse Haseen Kya Koi Namoona Hoga
Ki Meri Ibadat-E-Ishq Se Darta Khud Khuda Hoga
Ek Aah To Usne V Bhari Hogi Us Lamhe Men Jaroor
Jab Dard-E-Dil Mera Saari Haddon Se Guzraa Hoga
Jise Humne Dhunda Kiya Har Zarree Men Kabhi
Kya Tha Maloom Ki Vo Is Dil Men Chipaa Hoga
Aashiq Parvaane Kud Padte Hain Kisi Shamma Men
Sochte Bhi Nahin Ki Haal Unka Ab Fir Kyaa Hoga
Lakh Palken Jhukaaye Vo Bahaanon Separ Dekhna
Uski Aankhon Se Ab Bhi Mera Aks Na Mitaa Hoga
Dardon Se Kuch Is Kadar Chalni Ho Gaya Hai Ghayal
Jo Saamne Khada Karo To Sharmsaar Aainaa Hoga
Mehfil Men Aksar Log Mujhse Poocha Kiye Eh Ghayal
Bahut Ki Tune Aashiqui Ab Zakhmi Aur Kitnaa Hoga