Kuchh To Khel Khele Usne Mujhse
Khuchh Humne Bhi Khud Se Be-Eemanee Ki
Jaan Kar Usko Apna Humsafar
Humne Uske Naam Apni Zindgaani Ki
Gham Zindgi Ke Kuchh Zyaada Hi Rahe
Buniyaad Khushi Rakhi Fir Bhi Har Kahani Ki
Wo Mujhme Samaye The Rooh-O-Jaan Ki Tarah
Jhalak Baaki Hai Mujhme Unki Haar Nishaani Ki
Dil Karta Hai Dua Uske Liye Baharon Ki
Jisne Veeraan Si Meri Zindgaani Ki
Ishq Kahte Hain Log Bala Hai Saza Hai,
Kuchh Samjhe Bina Humne Ye Naadaani Ki.
Tumne To Sab Raaz Khol Diye Bina Soche,
Duniya Deti Hai Saza Sabko Sach-Bayaani Ki.
Hum To Chal Diye -Ë—tanha-‘ Na Rokna Mujhko,
Aaraamgaah Hoti Nahi Koi Bhi Bahte Paani Ki.