Kuchh To Bata E-Zindagi Ye Hairaniyan Kyun Hain,
Har Kadam, Har Mod Par Pareshaniyan Kyun Hain,
Aansuon Ke Dhare Aur Mayoosi Ka Andhera Hai,
Har Pal Zindagi Me Ghamon Ki Meharbaniyan Kyun Hain,
Har Taraf Tanhaiyan, Har Taraf Mayoosiyan Mili,
Is Bhari Duniya Me Mere Liye Veeraniyan Kyun Hain,
Mane To Abhi Aaghaz Kiya Hai Zindagi Ka “Sahil”,
Phir Khatm-Si Hoti Hui Ye Kahaniyan Kyun Hain.

By Sita Ram Jakhar “Sahil”