Kuchh Hasrat-E-Nawaazi Me Hum Khuda Ho Beithe
Girebaa’n Khoon Se Range Hai Par Humnavaa Ho Beithe
Mitaane Lage Hai Yun Hastiyaa’n Hum Apne Saath Maasoomo Ki
Ki Kheirkhwaaii Ke Nashe Me Hum Qaatil-E-Jaan Ho Beithe
Khudaa Thaa Insaaf Ke Liye Ke Unhe Apni Zulm Ka Badlaa Deta
Phir Kyoun Humne Thaami Hai Shamshir Aur Gaazi Ho Beithe
Maana Ki Zulm Hua Thaa Quam Par Apni Lekin
Zulmgaaro Ko Chhor Kar Maasoom’o Ke Qaatil Ban Beithe
Naa Jalaao Kisi Ki Jaan Yaa Basti Yeh Bikhar Jaati Hai Palbhar Me
Basaate Basaate Ek Umr Guzar Jaati Hai Aur Hum Kaii Aashiyaane Jala Beithe..
Raham Hai Khudaa Ka Hum Insaan Hai, Kuchh Insaaniyat Baaki Rahe
Kehte To Hai Hum Apne Aapko Insaa’n Par Haiwaan Se Badtar Ho Beithe.