Kuchh Dinon Se Balaa Ki Sardi Mein
Meri Bus Ke Stop Ke Aagey
Aath-Das Saal Kaa Koii Bachaa
Nanhey Haathon Pe Bhookh Ko Rakhey
Zard Aankhon Mein Pyaas Ko Lekar
Ek Gundee Kameez Pahney Hue
Ek Khambey Ka Aasraa Le Kar
Khaamosh Hai Khadaa Rahtaa
Roz Dekhaa Hai Mainey Wo Bachaa
Aur Us Ne Bhii Mujhey Dekhaa Hai
Uskii Aankhon Mein Wo Sawaal Hain, Ke
Paas Mere Koi Jawaab Nahin
Roz Nazrein Churaani Padtii Hain
Uskii Gandii Kameez Ke Aage
Mere Kapdey Sikudtey Jaatey Hain
Aur Mire Pet Mein Utartey Hi
Mere Hissey Ki Daal Aur Roti
Kyun Baghaawat Pe Utar Aatey Hain?
Us Se Nazarein Milaa Nahin Pataa
Jantaa Hun Ke Uskii Nazaron Mein
Ik Gunahgaar Hun Main
Aaj Himmat Dikhayi Thi Dil Ne
Aaj Pahlii Dafaa Meri Nazarein
Us Kii Nazaron Se Jaa Milin
Kuchh Rahm Aur Zaraa Sii Hamdardii
Dil Mein Mere, Aa Gaye Aakhir
Haath Jab Jeb Tak Gaya Mera
Yaad Aaya Ke Jeb Mein Mere
Sirf “Bus” Ka Kiraaya Baaki Hai
Rah Gayaa Main Titolta Sikkey
Haath Na Jeb Se Nikal Payaa
Ek Chhotey Se Bachey Ke Aagey
Aaj Sharamsaar Hun Main