Kuchh Be-Tarteeb Se Khayaal Jodne Kee Koshish Karne Chali Thhi
Magar Be-Khayaali Kaa Alam Aisa Raha Kee Rehne Diye Jyun Ke Tyun
Pesh-E-Nazar Hain Apki Nawazish Kee Talabgaar
Ae Dil Ghayal Hoon, Naraaz Hoon, Roothi Hoon Main
Zidd Kar Mana Lo Tum, Ki Thak Chuki Hoon Main
Kee Tujhse Haar Kar Bezaar Ho Gayi Hoon Main
Kati Patang Si Tuuti Dor Se Ulajh Gayi Hoon Main
Aur Aas Yeh Ki Suljhaa Hi Doon Yeh Uljhan
Naa Suljhe Tau Taar Taar Kar Doon Yeh Uljhan
Yadein Mere Dil Ke Dar-O-Dewaar Par Haavi Hon Jaise
Mere Kalaam, Mere Naghmon Ke Khandahar
Inmein Chupaa Hain Meri Chahat Kaa Gungunata Aagaazh
Inmein Qaid Hain Wasl-O-Hijr Ke Lamhe
Mere Chatpatate Armaan, Adhuri Hasraton Ki Dastaan
Mere Kaagazi Huye Anchal Mein Kaampata Hua
Suukhe Patton Sa Jharta Hua Be-Sukoon Pyaar
Mere Dewaane Dino Pe Sadaqat Ne Ik Parat Jama Di Hai
Aur Dil Ki Lagi Pe Haqiqat Ne Mauhar Laga Di Hai
Besudh, Machalte, Utare Jo Ishq Ki Dhalaan Pe
Kadam Ladkhadaaye, Haath Sahare Ko Badhe
Wo Gire Kii Aaj Tak Naa Sambhal Paaye Hum
Chalein Tau Huuk Uthe, Theharein Tau Dard Payein Hum
Ret, Chataanon, Patharon, Pahadon, Se Utar Kar
Dariya Ke Paani Sa Shaffaaf Ho Gaya Hain
Yeh Mera Pyaar Mujhmein Hii Simat Gaya Hain
Aur Main Yak-Ba-Yak Chuut Gayi Hoon,
Apni Chahaton Se Apni Wahshaton Se
Apni Muskurahaton Se Apni Bewajah Hasraton Se