Kuch To Hawa Bhi Sard Thi,Kuch Tha Teera Khyal Bhi
Dil Ko Khusi Ke Saath Saath Hota Raha Malaal Bhi
Baat Woh Adhi Raat Ki,Raat Wo Poore Chaand Ki
Chand Bhi En Chet Ka, Us Pe Tera Jamaal(Saundarya)bhi
Sabse Nazar Bacha Ke Woh Mujhko Kuch Aise Dekta
Ek Dafa To Ruk Gayi Gardish-E-Maah-O-Saal(Mahine Aur Varsh Ka Chakra)bhi
Dil To Chamak Sakega Kya Phir Bhi Tarash Ke Dekh Le
Sheesagiraan-E-Shehar(Nagar Ko Sheeshe Ke Saman Banane Wale)ke Haath Ka Ye Kamaal Bhi
Usko Na Paa Sake They Jab Dil Ka Ajeeb Haal Tha
Ab Jo Palat Ke Dekhiye Baat Thi Kuch Muhaal Bhi
Meri Talab Tha Ek Shaqs Wo Jo Nahi Mila To Phir
Haath Dua Se Yu Gira,Bhool Gaya Swaal Bhi
Uski Sukhantarajiyaan(Kavitaye)mere Liye Bhi Dhaal Thi
Uski Hassi Mein Chip Gaya Aapne Gammon Ka Haal Bhi
Uske Hi Bazuoo Mein Aur Usko Hi Sochte Rahe
Jism Ki Khwahishon Pe They Ruh Ke Aur Jaal Bhi
Shaam Ki Na Samaj Hawa Pooch Rahi Hai Ek Pata
Mauj-E-Hawa-E-Ku-E-Yaar(Mitr Ki Gali Ki Hawa Ki Tarang), Kuch To Meera Khyaal Bhi!