Kuch Sunanne Ki Baat Aayi
To Aankh Phir Se Bhar Aayi
Dil Ki Tammana Ek Baar Phir Se Machl Gayi
Per Tere Khamosh Hone Ke Daar Se Woh
Dil Ki Gehrayion Mein Wapas Chali Gayi
Sun Ne Sunane Ka Mauka Kab Diya Us Ne
Dil Se Nikal Kar, Darwaza Bandh Kar Liya Tha Us Ne
Mere Dil Tootne Ki Us Ko Awwaaz Bhi Na Aayi
Aesa Tha Woh Sanam Harjaayi
Khudha Us Ko Bhi Dil Tootne Ka Ehsaas Karwaaye
Apni Zindagi Mein Jo Diye Us Ne Dard Mujhko
Us Se Us Ki Jaan Pechaan Kar Waaye
Kabr Per Meri Aayega Woh Us Din
Royega Aur Maangega Khudha Se Mujh Ko
Us Din Us Ki Bewafai Ka Badla Mein Dooungi
Apni Yaadoan Ko Bhi Us Ke Saath Na Jaane Dooungi
Baat Karne Ki Zidd Karega Jab Woh
Us Ke Sawalo Ka Mein Koi Jawab Hi Na Dooungi
Dard Ko Us Din Woh Samjhega
Khudha Se Mere Chup Rehne Ki Wajah Pochega
Jawab Na Pa Kar Woh Bhi Mere Saath
Mere Ghar Mein Rehne Ki Zidd Karega
Us Din Apne Gahr Ke Darwaze Bandh Kar Ke
Us Ko Jeene Ko Majboor Kar Dooungi
Har Ek Ansoo Jo Meine Bahaya
Un Ansooan Ke Moti Se Mein
Us Ke Dil Ki Tijori Bhar Dooungi