Kuch Rishte Aise Hote Hai, Jo Khoon Se Badke Hote Hai,
Kehne Ko Toh Dost Hai, Par Unse Badhkar Koun Hai?
Har Pal Hasate Har Pal Satate, Gussa Hota To Khud Hi Manate,
Jitni Bhi Mushkil Ho, Woh Khud Hi Akele Seh Jate,
Chehre Unka Dekho Toh, Koi Sikasht Na Woh Laate,
Kabhi Kisiko Ko G/f Batate, Fir Kehte Chalo Mil Ke Patate,
Pat Jaye To Achi Hai, Na Pate Toh Bacchi Hai,
Woh Pal Jine Ko Aaj Bhi Dil Karta Hai,
Unn Lamho Ko Dil Aaj Bhi Yaad Krta Hai,
Ek Samose Khana Ho, To Usme Contri Hoti Thhi,
Us Ek Samose Mein Wo, Cheena Jhaptti Hoti Thhi,
Kbhi Class Me Padhte Thhe, Toh Piche Se Koi Kehta Thha,
Dekh Saala Aaj Padh Ra Hai, Jo Har Pal Piche Sota Thha,
Aaj Bhi Jab Sab Milte Hai, Toh Waqt Aise Gujarta Hai,
Sab Koi Yeh Hi Kehte Hai, Ghar Jane Ka Man Na Karta Hai,
Pichli Baatein Yaad Kar Chehra, Sab Ka Khil Jata Hai,
Par Jo Lamha Beet Gaya, Wo Phir Kabhi Na Aata Hai,
Ye Wada Unn Sab Se Hai Ki, Har Pal Saath Nibhaunga,
Chahe Jahan Bhi Chala Gaya Par, Inn Yaadon Se Na Jaunga.
By Devenda Mishra