Kuch Keh Nahi Sakti Buri Aadat Hain Meri
Mujhse Chote Hon Ya Mujhse Bade
Ya Phir Mere Hum Umar Par Main Kisi Ko Kuch Keh Nahi Sakti
Sun Sakti Hun, Dekh Sakti Hun
Mehsus Kar Sakti Hun, Seh Sakti Hun
Par Kuch Keh Nahi Sakti
Jitna Bhi Kabhi Kehne Ki Karti Hun Koshish
Pata Nahi Kya Cheez Mujhe Rok Leti Hai
Aur Phir Mein Kisi Se Kuch Keh Nahi Sakti
Dekha Hai Jo Bhi, Jo Bhi Mehsoos Kiya Hai
Acha Nahi Laga Lekin Main Kuch Keh Nahi Sakti
Bahut Buri Hun Main Bahut Galat Hun
Sabhi Mujhse Naraaz Hain Sabhi To Khafa Hain
Par Safai Main De Nahi Sakti
Main Kisi Se Kuch Keh Nahi Sakti
Jise Bhi Pyar Karti Hun, Woh Hi Mere Khilaaf Ho Jata Hai
Phir Mujh Mein Sirf Buraaiyan Hi Nazar Aati Hain
Un Sab Ki Aankhon Ka Yeh Parda Main Hatta Nahi Sakti
Main Kisi Se Kuch Keh Nahi Sakti
Main Kisi Se Kuch Keh Nahi Sakti Nahi Keh Sakti