Kuch Dino Pehley Ki Baat Thee
Woh Shab Chandni Raat Thee
Woh Kaliyon Ka Muskara
Patton Ka Sar Sarana
Mast Hawa’on Ki Shoukhiyaan
Woh Sitaron Ka Jagmagana
Woh Raat
Siyaah Zulfein Bikhraa’ye
Husn Aisaa
K Husn Bhee Shurmaa’ye
Woh Badliyon Ki Oatt Sey
Muskarata Chand Thaa
Chandni K Husn K Aagey
Shums Maand Maand Thaa
Woh Chandni K Noor Mein
Ek Ajab Saroor Tha
Woh Chandni Ka Ishq Thaa
Jo Chand Maghroor Thaa
Mein Chaand Deikh Deikh
Khush Hoti Rahee
Din Dhaltey Rahey
Raat Hoti Rahee
Phir Ek Shab Mein Ney Nighaa Uthaai
Aasmaan Bey-Noor Thaa
Amaawus Ki Raat Thee
Chaaand Gham Zada,Huwa’ein Bey-Rawish
Is Malaal Mein Bheee Ek Baaat Thee
Merey Nadaan Dil Zara Deikh Tou
Ho Cheez Koi Ek Tou
Jo Saath Nibhaa Dey
Koi Ek Hee Bata Dey
Tu Khud Ko Na Yon Barbaad Ker
Phir Zindagi Ka Aghaaz Ker
Merey Chaaand Tu Intizaar Ker
Zara Dil Ko Bey-Qaraar Ker
Hijr Ki Andheri Rut
Beet Jaye Gee
Wisl Ki Woh Haseen Shab
Phir Aaye Gee
Mein Khuda Sey Dua’aa Karon Gee
Ab Ki Baar
Woh Shab Ziada Haseen Ho
K Mein Deikhon Bey-Ikhtiyaar
Asmaaan Baar Baar
Aur Tu Chaandni K Sung
Muskara Ker Mujehy Kahey
Naa Zindagi Ko Barbaad Ker
Zindagi Sey Piyaar Ker