Kuch Din To Baso Meri Aankhon Mein
Phir Khawaab Agar Ho Jao To Kya
Koi Rang To Do Mere Chehray Ko
Phir Zakhm Agar Mehkao To Kya
Jab Ham Hi Na Mehkay Phir Sahab
Tum Baad-E-Saba Kehlao To Kya
Ik Aaiina Tha So Toot Gaya
Ab Khud Se Agar Sharmao To Kya
Duniya Bhi Wohi Aur Tum Bhi Wohi
Phir Tum Se Aas Lagao To Kya
Main Tanha Tha, Main Tanha Hoon
Tum Aao To Kya, Na Aao To Kya
Jab Dekhnay Wala Koi Bhi Nahin
Bujh Jao To Kya, Gehnao To Kya
Ik Wahem Hai Yeh Duniya Is Mein
Kuch Kho’o To Kya Aur Pao To Kya
Hai Yuun Bhi Ziyaan Aur Yuun Bhi Ziyaan
Jee Jao To Kya, Mar Jao To Kya