Kuch Dard, Suhane Lagte Hain
Khushion Ke Bahanae Lagte Hain
Jo Ghum Ko Bhoajh Samajhte Hain
Wo Log ,Diwane Lagte Hain
Is Ghum Ne Milaya Khud Se Hamen
Ab Apnae, Baegaane Lagte Hain
Manus Nahi Jo Ghum Se Hove
Wo Ujde Gharane Lagte Hain
Jo Sub Ko Sunaye Jaate Hain
Wo Dard, Fasaane Lagte Hain
Jis Ghum Kae Aadi Hojaayen
Wo Dard ,Puraane Lagte Hain
Jab Dard Ziyaada Bardh Jaaye
Ashkoan Ko Bahaane Lagte Hain
Apnoan Sae Bahut Hum Dur Hovae
Ab Door Thikaanae Lagtae Hain
Khismat Ko Samajhte Hain Doashi
Khud Ko Samjhaane Lagte Hain
Ghaeroan Kae Chehrae Bhi Aksar
Jaanae,Pehchaanae Lagte Hain
Hum Taeri Bazm Kae Deewaane
Alfaaz Sajaane Lagte Hain
Kuch Tum Deewaane Lagte Ho
Kuch Hum Deewaane Lagte Hain
Ab “Raz”Badal Do Apna Mizaaj
Andaaz Puraane Lagte Hain