Kuch Apnay Dil Ki Kasak Ko
Kuch Tumharay Dil Ki Tarap Ko
Denay Laga Hun Main Zuban
Sunanay Laga Hun Main Tumahain

Ik Kam Naseeb Banjaray Ki Dastan
Woh Kuch Choriaan Bechnay Nikla Tha
Kuch Khushian Kharednay Nikla Tha
Khawabon Ki Dunya Main Khoya Hua
,Apsara_e_sarab Dhondnay Nikla Tha,
Phirta Raha Woh Tamam Waqt
Har Gali Gali
Har Nagar Nagar,
Khwahish Thi Uski Abad Karta
Apnay Dil Ka Sunsan Shhar,
Shehar Ke Ik Weran Mod Par,
Dil Ko Cho Ke Guzri Hawa ,
Woh Pari Thi Yah Phir Hor Thi
Ya Phir ,Ghazl E Ghalib Ka Biyan,
Bha Gai Usay Woh Apsara,
Par Chahat K Silsalay To Ajeeb Hotay Hain
,Banjaray Jo Bhi Hotay Hain
Sab K Sab Kam Naseeb Hotay Hain
,Lachar Hotay Hain ,
La Faiz Hotay Hain,
Banjaray Jo Bhi Hotay Hain ,
Mohabbat Main Bhi Woh Ghreeb Hotay Hain,
Phir Rah Main Hayal Mod Huye
Kuch Zakhm Usay Is Tor Huye
,Khwab Jo Dekhay Chor Huye
Khwab To Khwab Hain
Totnay Pay Majboor Huye,
Phir Yun Hua Woh Kam Naseeb
Tor Kar Chorion Ki Dukan,
Phirta Raha Har Gali Gali
Har Nagar Nagar Har Shahar Shahr
,Deta Raha Yehio Ik Sada
Mray Dosto Meray Sathiyo
Man Lo Gar Mera Kaha Na Dekhna Khwab -E-Apsara,
Na Dekhna Khwab-E -Apsara