Kucch Aur Bhi Iske Aage Armaan Hai Bahut
Kya Kahen Dil Abhi Se Pareshaan Hai Bahut
Ho Zikr Jab Sitam_Giri Ka To Tera Naam Aaye
Goya Iss Shahar Mein Teri Pehcan Hai Bahut
(Goya = Jaseey / A Like)
Kanjar Chala Kar Seene Ko Kar Diya Ghayel
Aur Us Par Khamoshi Ka Farmaan Hai Bahut
Mere Chaara_Gaar Tu Mayuus Kyun Hai Itna
Abhi Iss Dil-E-Bemaar Mein Jaan Hai Bahut
(Chaara_Gar = Hakeem / Doctor)
Koi Aisa Ghar Nai Mila Ke Jiski Talash Thi
Kehne Ko To Is Basti Mein Makaan Hai Bahut
Ahad To Karte Hai Bose Ka Magar Dete Nahin
Haye! Ke Iss Duniya Mein Be-Imaan Hai Bahut
(Ahad = Wadda; Bosa = Chumban/Kiss)
Kya Marg Chaayi Hai Adaam_zaat Par, Ilaahi
Terii Iss Duniyaa Mein Kabarstaan Hai Bahut
(Marg = Mout; Adaam_Zaat = Insaan)
Ik Zra Gazal Kahiye Phir Dekhiye “Humtum”
Iss Mehfil Mein Aap Ke Kadardaan Hai Bahut