Koyle Se Rang Diya Kisine Aasman
Ye Hawayein Kaali Kaali Si Hai
Sannatein Khauf Gholte Hai Fiza Mein
Sulagne Lagi Kaliyan Khushbu Ki Dehek Se
Dam Ghutne Laga Is Sard Mitti Ka
Koi To Ho Jo Aaye Aur
Apne Saaye Ki Hawa De Mujhe
Sooni Kaali Gumnaam Sadkon Pe
Bikhre Kuch Ashqon Ke Moti
Koi To Ho Jo Chun Ke Inhe
Apni Palkon Ki Jhilmilahat Banaye
Sadayein Patthar Si Hogayi Meri
Patthar Se Takra Ke Laut Aati Hia
Koi To Ho Jo Apne Hothon Se Chhuke
In Bezubaan Sadaon Ko Awaz De Jaye
Kitaab-E-Zindagi Ke Lafz Hai Uljhe
Koi To Ho Jo Is Adhkhule Warqon Mein
Khoobsurat Si Koi Dastaan Likh Jaye