Ko’ii Zulm Dhaataa Rahaa Zindagii Bhar!
Ko’ii Muskuraataa Rahaa Zindagii Bhar!
Ho Kaa.Nten Ke Sholen,Na Kii Fikr Ko’ii!
Wo Daaman Sajaataa Rahaa Zindagii Bhar!
Wo Kahtaa Use Gam Lagaa Hii Nahii Hai!
To Kyon Muskuraataa Rahaa Zindagii Bhar!
Haan Ghar Me.N Sivaa Uske Koii Nahii Thaa!
Wo Kiskii Sunaataa Rahaa Zindagii Bhar!
Thii Maasuum Sii Kuchh Baras Kii Kahaanii!
Wo Bachpan Lubhaataa Rahaa Zindagii Bhar!
Thaa Meraa Shajar Yun Hawaa Kaa Khilaunaa!
Main Tinke Jutaataa Rahaa Zindagii Bhar!
Us Insaan Ko Yun Khudaa Kar Chaley The!
Wo Minnat Karaataa Rahaa Zindagii Bhar!