Koi Toh Aaye
Mujhe Dulhan Sa Saja Jaaye
Aake Mere Sajna Ke Liye
Mujhe Sola Singaar Kar Jaaye
Is Soone Maathe Ko
Chamakti Bindiyaa De Jaaye
Is Chamak Se Wo Jaise
Mere Kareeb Aa Jaaye
Sharmate Mere Naino Ko
Surme Se Nihaar Jaaye
Kuch Aisa Inhe Sajaa De
Jo Unhe Deewaana Mera Bana Jaaye
In Gulaabi Hotho Ko Mere
Koi Pankhudiyo Se Sajaa Jaaye
Behadd Utsuk Uhke Hoth
Inhe Choone Ko Ho Jaaye
Komal Mere Gaalo Ko
Koi Aisi Maasoomiyat De Jaaye
Inhe Choom Lene Ko
Wo Aise Betaab Se Ho Jaaye
Koi Toh Aaye
Mujhe Dulhan Sa Saja Jaaye
Aake Mere Sajna Ke Liye
Mujhe Sola Singaar Kar Jaaye
Mere In Haatho Ki Mehndi Mei
Wo Kuch Aise Bikhar Jaaye
Har Hissa Meri Mehndi Ka
Unke Naam Se Mehak Jaaye
Baaho Mei Apni Bharke Mujhe
Kuch Kaan Mei Keh Jaaye
Aisa Wo Khaas Pal Ho
Jaise Sab Kuch Thehar Jaaye
Pyaar Hai Tujhse Behadd Khanak
Aisa Wo Kuch Keh Jaaye
Naye Jeevan Ki Shuruaat
In Sunehre Shabdo Se Ho Jaaye
Khushi Ke Aasu In Aakho Mei
Wo Aaj Aise De Jaaye
Gam Ke Aasu Kabhie Naa Fir
In Aakho Mei Aa Jaaye
Koi Toh Aaye
Mujhe Dulhan Sa Saja Jaaye
Aake Mere Sajna Ke Liye
Mujhe Sola Singaar Kar Jaaye