Koi To Aisi Shaam Ho, Eik Pal Ko Tujhe Bhula Sakun
Mudduat Ke Baad Khood Ko, Apne Aap Se Mila Sakun
Doston Kaza Ki Dua Karo, Wo Din To Aaye Naseeb Mein
Wo Ba’araha Bulaayaa Kare, Aur Main Na Aa Sakun
Apne Rahbari Ki Chhaon Mein, Kamzarf Na Banaa, Kahin
Kal Tu Jo Haath Chhod De, Eik Kadam Na Main Badaa Sakun
Asmaa’n Hi Gar Adoo Hai, Eik Mauka Too To Ataa Karey
Haatho’n Mein Tere Naam Ki, Eik Lakir Main Bana Sakun
Dunia Ke Rasm-O-Riwaaz Se, Mujhe Door Le Ke Chal, Jahaan
Apne Maazi Ke Har Nisha’an Ko, Tere Pyar Se Mitaa Sakun
Natwaani Par Meri , Barson Jaha’n Hanstaa Rahaa
Tere Ishq Ne Yun Buland Kiya, Ab Chaand Ko Main Pa Sakun
Tere Hizra Ka Nahi Haif, Mujhe Aik Karam Se Navaaz De
Kabhi Mujhe Jo Neend Aaye, Khwaab Mein Tujhe Bulaa Sakun
Mera Yakeen Kar Mere Humsafar, Ye Ishq Mera Guroor Hai
Tu Jo Haath De Mere Haath Mein, Aasma’n Ko Main Jhuka Sakun
Mere Khaloos Mein Gar Iffat Hai, To Wo Din Bhi Aaye Ke Tujhe
Ho Raushani Ki Justjoo, Main Apna Ghar Jala’a Sakun
Ye Ishq Ki Inteha’an Nahi , Hai Aur Kya Mere Hamnasheen
Tu Dua Mein Hai Kise Aur Ki, Main Ashq Bhi Na Bahaa Sakun