Koi Tanha Jab Bhee Hota Hain
Koi Insaan Tab Hi Hota Hain
Jab Bhee Daikhta Hun Chayhron Kay Samandar
Buss Khauf Daikhta Hun Ya Bayparwa Paataa Hun
Yeh Samandar Ajnabi Samjhay Mujhay
Jab Bhee Baatain Ishq-O-Daanai Ki Bataataa Hun
Yeh Jaloos-E-Beparwaa Sadaaqat Say Dur
Ahud Unkay Apni Nasamjhi Pay Maghrur
Gar Suljhay Nahi Insay Zeest Kay Taqaazay
Chorayn Raah-E-Ilm Aur Manzar-E-Ishq Say Bhaagain
Mehfilon Main Khud Ko Dubo Kar Yeh Samjain-
Yahi Zindagi Hai Ki Soyain Aur Jaagayn
Aur Udhar Khaufzadon Ka Hai Yeh Nazaaraa
Khauf-E-Namalum Kay Aivuz Ta Umr
Kiya Haram-O-Dair Main Guzaaraa
Kahin Buton Ki Puja Kahin Saleebon Ki Bandagi
Kahi Azaanon Ka Bharam Kahin Kitaabon Main Khudkushi
Khauf Ko Samajh Kay Bekhauf Ho Jaanaa
Hai Uljhi Karion Ka Suljhaanaa
Hai Ishq-O-Ilm Kay Nau Manaazir Ka Nazaaraa
Hai Kai Raah-E-Daanaa Ka Khul Jaaanaa
Jo Baat Karta Hoon Aisi Quwat Ki
To Nazar Aati Hainhairut Say Tangi Aankhain
Beparwa Aankhain Aur Sard Jami Aankain
Khilli Uraataa Hai Beparwaa Nighaahon Ka Majmaa
Ya Phir Dastur-E-Zabaanbandi Sikhaataa Hai Khuafzadaa
Meri Talaash Talaash Aadmi Ki
Khud Main Pinhaa Raushni Ki
Launga Baghhawat In Khuaf Kay Ghulaamon Main
Aur Ahsaas-E-Zimmaydaari Beparwaa Maqaamon Main