Koi Nahin Duniya Mein Dard Ko Churaane Wala
Toh Dard Se Kyon Naa Ghar Ko Sajaayein Hum
Yun Hi De Jaate Hai Wo Dil Ko Dilaase Jhoothe
Chalo Kahaaniyon Se Apna Dil Behlaayein Hum
Reit Ka Ek Tinka Tha Wo Jo Bheega Gaya Palkein
Is Bahaane Kuch Ashkon Ka Bojh Hataayein Hum
Thak Gaye Hai Hum Bhi Dohraaye Hue Lafzon Se
Dard Ke Siwaa Sunaayein To Kya Sunaayein Hum
Is Baar Khaamosh Hi Raheinge Aisa Socha To Hai
Zeher-E-Gum Muskuraahat Mein Milaayein Hum
Haath Aayi Bus Zakhm Lapete Lamhon Ki Yaadein
Waqt Ke Peeche Khade Daaman Phelaayein Hum
Yu Shikast Paayi Hai Apni Hi Zindagi Ke Haathon
Maut Ke Liye Karne Lage Hai Laakh Duaayein Hum