Koi Dhundla Sa Ekk Chehra Meri Ankhon Main Rehta Hain
Koi Bhatka Sa Ekk Jugno Mere Khawabon Main Rehta Hain
Ekk Manus Si Awaz Mujhe Sone Nahin Deti
Koi Uljha Sa Ekk Jumla Meri Yadon Main Rehta Hain
Hay Kis Ke Shabnami Anchal Kii Khushbu Ab Talak Mujh Main
Koii Ehsaas Mehka Sa Meri Sansoon Main Rehta Hain
Mujhay Khud Per Nahin Qabo Na Main Kuch Bol Sakta Hon
Asar Yeh Kis K Lafzon Ka Meri Baton Main Rehta Hain
December Ki Khunak Ratain Mujhay Bechain Rakhti Hain
Lamas Ka Aik Haath Ab Tak Meri Sochon Main Rehta Hain
Hay Dil Bhi Muztarib, Ehsaas Bhi, Sochon Ki Uljhan Bhii
Yeh Kis Ki Ankh Ka Ansoo Meri Ankhon Main Rehta Hain
Seekhee Nahee Hai Toone Ab Taalak Ye Duniya Daree
Isee Liye Asar “Mehul” Kee Baton Main Rahata Hain
Ekk Asar The Kal Tere Aur Mere Milne Main Kal Tak
Wahee Asar Ab Meree Har Mulataon Main Rahata Hain
Tum Meree Peshanee Ye Choom Ke Jabs Se Gaye
Chand Tab Se Ab Tak Meree Raton Main Rahata Hain
Kaise Batayon Kya Huya Hai Tere Pyaar Kaa Asar
Tanha Nhee Hai Dil Kabee Baraton Main Rahata Hain
Khaabon Ne Kaha Mujh Se Hanste Raho Har Pal
Dard Main Jab Doba Hain Mehul Barsaton Main Rahata Hain