Koi Ada shanas-E-Mohabbat Humain Bataye
Jo Hum Ko Bhol Gaye Wo Kyun Hum Ko Yad Aye
Kis Ki Majal Thi Ki Hijab-E-Nazar Uthaye
Wo Muskura Ke Ap Hi Dil Ke Qarib Aye

Ik Dil_nashi Nigah Mein Allah Ye Khalish
Nashtar Ki Nok Jaise Kaleje Mein Tot Jaye
Kuch Hum Se Bekhudi Main Hoi Behijabiya
Chashm_kazni Sitaroon Ne Ki Phool Muskuraye
Wo Jan-E-Arzoo Ke Hai Sarmaya-E-Nishat
Kyun Us Ki Yad Ghum Ki Ghata Ban Ke Dil Pe Chaye
Tum To Humko Kahte The Ye Tum Ko Kya Huwa
Dekho Kanwal Ke Phool Se Shabnam Chalak Na Jaye
Ik Natmam Khwab Mukammal Na Ho Saka
Ane Ko Zindagi Main Bahut Inqlab Aye