Kitni Shikayat Thi Tumhe
“Jab Tum Logon Mein Ghiri Hui Hoti Ho,
Lagta Hai Bahot Door Ho Mujhse
Pahuch Nahi Paata Hun Tum Tak
Jab Tumhare Charsoo Logon Ka Hujoom
Dekhta Hun, Bikhrne Lagta Hun.”
Hawa Ko Bhi Tumne Kabhi Hamare Beech Haaiil Nahin Hone Diya.
Mujhe Kho Dene Ke Khyaal Se Bhi Ghbraa Jaate The Tum.
Itne Kam Aarse Mein Kitna Kuch Badal Gya.
Kuch Roz Pehle Saawan Ki Jhmajham
Baarish Mein Hum Saath Saath Bheege The
Phir Humne Chai Pi Thi, Dunya Bhar Ki Baatein Ki Thi.
Phir Ekaek Tumne Mujhe Baahon Mein Bharkar Bheench Liya Tha
Aur Tumhari Surkh Ankhon Se Nami Jhankne Lagi Thi.
Aaj Tumhare Mere Darmiyaan Koi Bhi Nahi Hai,
Sivaye Is Faasle Ke Jise Tumne Janam Diya Hai
Wagarna Science Aur Technology Ke Is Daur Mein
Kisi Se Rabta Karna Kya Mushkil Hai?
Jee Chahta To Hai-
Ki Main Hi Tumhe Aawaaz Doon
Magar Haqiqat Ye Hai—
Hamare Lehje Se Apnayiyat Ke Rang Ud Chuke Hain,
Hamari Aawazon Mein Bhi Ab Woh Khanak Nahi Rahi,
Dilon Mein Gulab To Khilte Hain Ab Bhi,
Unme Lekin Pehli Si Mehak Nahin Rahi.

By Shabnam Sultana`ada’