Kitne Khush The Hum Apni Zindagi Mein
Hamesha Saath Le Chale Sabko Apni Khushi Mein
Najane Kiski Lagi Hogi Nazar
Ya Acchi Kismat Na Thi Hamari Zindagi Mein

Un Lamhon Ko Yaad Kar, Aankh Bhar Aati Hai
Unhe Kya Pata Unki Yaad Kitni Satati Hai
Kaash Yeh Hawa Unhe Jaake Bayaan Kare
Ki Aaj Bhi Zinda Hai Nahin Hai, Mare
Phir Bhi Hamein Yeh Vishwas Hai, Ki
Ek Din Woh Jaroor Hamare Paas Ayegi
Shayad Galti Thi Hamari
Ki Hamne Apne Har Lamhon Ka Unse Ijhar Kiya, Isliye
Taane, Bad-Dua, Dekar Bhi Na Bhara Dum
Hum To Samajh Te The Ki Saath Hai Hum
Magar Is Vishwas Ne Mera Hi Vishwas Toda
Dil Ke Tukde Kar Chali Woh Thoda Thoda
Malum Hai Unhe, Na Ji Sakenge Hum Unke Bina
Thokare Maarkar Kehti Hai Ab Ji Lo Mere Bina
Kitna Kamjor Hai Yeh Vishwas Jo Pucha Na Ek Baar
Ab Hogaya Hai Hamein Aitbar, Baar Baar
Ki Kabhi Na Karenge, Kambakt Pyaar
Is Vishwas Pe Kite Aaye Hai Har Baar
Jinda Hai Tab Na Sahi, Shayad Ajaye
Woh Ek Baar Dhundkar Meri Majaar
Vishwas Ko Dekho Kitna Pakka Hai
Dil Hazaaron Baar Tuta Hai Phir Bhi
Yeh Pakka Hai
Ki Shayad Marte Waqt Ajaye Mera Pyaar
Karlegi Do Aankhen Chaar