Kitne Hi Log Roj Aate Hai Chale Jate Hain
Jism Mer Jata Hai Karname Hi Reh Jate Hain
Kuch Khash Karne Ki‚  Koshish Bhi Lagi Rehti Hai
Kuch Kiye Hote Hai; Kuch Ker Jate Hain
Kuchh Karne Ki Tamanna Dil Mein Leke Hi Mer Jate Hain
Dooriyan Kam Jyada Hain Manjil To Ek Hai
Phir Kyun Jane Ka Rasta Alag Alag Apnate Hain
Jauhri Ki Talash Mein Gumnamiyon Main Kho Gaye
Kuchh Beskeemti Heere Bhi Dhool Mein Mil Jate Hain
Kisi Ko Pet Bherke Bhi Takiye Se Chubhan Hoti Hai
Aur Kuchh Bhukhe Pet Hi Footpath Pe So Jate Hain
Ki Fasana-E-Zindagi Insan Ka Sunte Sunte
Aankh Kya Cheej Hai Dil Bhi Bher Jate Hai