Kisii Kii Chaah Ke Qaabil Nahiin Huun
Main Koii Raah Yaa Manzil Nahiin Huun
Mujhey Paa Kar Na Paaogey Kinaaraa
Saraab E Nazar Hun Saahil Nahiin Huun
Qatl Ko Chaahey Khudkushii Samjho
Zindagii Ko To Zindagii Samjho
Tum Ho Ahl E Khudaa Magar Yaaro
Aadmii Ko To Aadmii Samjho
Hamney Shamma Banaa Liyaa Dil Ko
Jab Bhii Chaahaa Jalaa Liyaa Dil Ko
Dard Ne Aazmaa Liiyaa Dil Ko
Behisii Ne Bachaa Liiyaa Dil Ko
Zakhm Rakhey Hain Kis Qariiney Se
Dekh Mainey Sajaa Liiyaa Dil Ko
Aakey Lab Tak Thahar Gayaa Paani
Pyaas Se Meri Dar Gayaa Paani
Unka Chehraa Nikhaarney Aaya
Aur Khud Hi Nikhar Gayaa Paani
Suunii Raahon Ke Nagar Mein Hun Main
Kitnii Sadiiyon Se Safar Mein Hun Main
Saarii Duniiya Kii Nazar Mein Hun Main
Jab Se Ik Kaanch Ke Ghar Mein Hun Main
Ponchh Daaluunga Kisii Din Khud Ko
Apney Hee Deedah-E-Tar Mein Hun Main
Dil Dhadaktaa Sunaaii Detaa Hai
Gham Hain Kitney Duhaaii Detaa Hai
Ishq Gar Dein Hai Khudaa Kii
To Wo Hamein Kyun Judaaii Detaa Hai
Wo Puchtey Hain Ke Kyun Tashnagii Nahiiin Jaatii
Adaa E Yaar Kii Wo Saadgii Nahiin Jaatii
Bas Ek Mode Par Aa Kar Thahar Gayii Hai Ye
Binaa Tere Kahiin Ye Zindagii Nahiin Jaatii