Kisi Pe Naa Guzre Qayamat Shab-E-Tanhaaii Kii Is Dua Ke Sath
Ekk Taaza Ghazal Gaur Farmayiega
Mujhse Bichad Wo Jhoomta Nazar Aaya Hoga
Shab-O-Roz Usne Ik Jashn Naya Manaya Hoga
Kis Nazukii Se Wo Kheinchta Raha Tiire-E-Wafa
Dum Tod Naa Doon Khalish Se, Lihaaz Aaya Hoga
Tanz, Tagaaful, Be Adabi, Bad-Gumani, Ruswaayi,
Mujhe Khaak Karne Ko Kya Kya Naa Aazmaya Hoga
Jaane Kaisee Yeh Khuu Lag Gayi Ansuon Ko Mere
Uske Honthon Ne Tau Barson, Naa Inko Churaya Hoga
Jaadu Hain Zubaan Mein, Kii Tilism Uske Lehje Mein
Uske Jhoot Pe Bhii Har Kisi Ko Yaqiin Aaya Hoga
Khudaya Uske Pehloo Ko, Uske Dil Ko Rakhna Aabaad
Jo Mere Pehloo Ko Muflisi Ke Supurd Kar Aaya Hoga
Gar Be-Dili Se Dar Badar Kar Bhii Diya Mere Dil Ko
Yaqiinan Meri Chahat Se Wo Dilbar Uktaaya Hoga
Uske Chuune Se Kahin Paras Naa Jii Uthe Phir Se
Ho Be-Reham Sa Usne Mayat Ko Meri Sajaya Hoga