Kisi Ki Bewafai Bais-E-Herat Nahi Hoti
Zara Sa Dil To Dukhta Hai Magar Shidat Nahi Hoti
Bohat Khud Ko Jalata Hoon Ye Barson Ki Riazat Hai
Mire Andar Ki Lekin Door Ye Zulmat Nahin Hoti
Ye Dukh He Ke Kisi Ne Bhi Hamin Dil Se Nahin Chaha
Zara Sa Piyar Mil Jata To Ye Halat Nahin Hoti
Zamin-O-Aasmaan Main Ik Tauluk To He Sadyoon Se
Magar Peda Kahin Bhi Rabt Ki Soorat Nahin Hoti
Ajab Hi Falsfa He Ye Ameeri Aur Gharibi Ka
Ke Umrain Sarf Ho Jati Hain Kam Ghurbat Nahin Hoti
Bohat Se Khoob Chehray Hain Bohat Si Dilruba Nazrain
Tire Hone Se Hoti Thi Jo Kefi^at Nahin Hoti
Hawala Jab Talak Tera Na Aa Jaye Kahin In Main
Mire Sheron Main Peda Tab Talak Jiddat Nahin Hoti
Tere Gumnaam Mere Janay Main Azhar Kya Buraie Hai
Ke Her Insaan Ki Kismat Main To Shohrat Nahin Hoti