Kisi Ki Aankh Se Sapne Chura Kar Kuch Nahi Milta
Mundeiron Se Chiraghon Ko Bhuja Kar Kuch Nahi Milta
Hamari Sooch Ki Parvaaz Ko Rooke Nahi Koi
Naye Aflaaq Pe Pehre Bitha Kar Kuch Nahi Milta
Koi Ek Aadh Sapna Hoo To Acha Bhi Lagta Hai
Hazaaron Khwaab Aankhon Mein Sajaa Kar Kuch Nahi Milta
Sukoo’n Inko Nahi Milta Kabhi Pardeis Jaa Kar Bhi
Jinhein Apne Watan Se Dil Laga Kar Kuch Nahi Milta
Use Kehna K Palkon Par Na Taanke Khwaab Ki Jhalar
Sumandar K Kinare Ghar Banaa Kar Kuch Nahi Milta
Ye Acha Hai K Aapas K Haram Na Tootne Payen
Kabhi Dooston Ko Aazma Kar Kuch Nahi Milta
Na Jaane Kaun Se Jazbe Ki Yuun Taskeen Karta Hoon
Bazaahir To Tumhare Khat Jalaa Kar Kuch Nahi Milta
Faqat Tum Se Hi Karta Hon Main Saari Raaz Ki Baatein
Har Ek Ko Daastan-E-Dil Suna Kar Kuch Nahi Milta
Amal Ki Sookhti Rag Mein Zara Sa Khoon Shaamil Kar
Mere Humdum Faqat Baatein Bana Kar Kuch Nahi Milta
Use Main Pyaar Karta Hoon Mujh Ko Chein Aata Hai
Wo Kehta Hai Use Mujh Ko Sataa Kar Kuch Nahi Milta
Mujhe Aksar Sitaaron Se Yehi Awaaz Aaye Hai
Kisi Ke Hijr Mein Neenden Gawa Kar Kuch Nahi Milta
Jigar Hoo Jayega Chalni Ye Aankhen Khoon Royen Gii
Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Kar Kuch Nahi Milta