Kisi Khush Nigha Si Aankh Ne
Ye Kamal Mujh Pe Karam Kiya
Meri Loh-E-Jaan Pe Raram Kiya
Woh Jo Ek Chaand Sa Harf Tha
Woh Jo Ek Shaam Sa Naam Tha.
Woh Jo Aik Phool Si Baat Phirti Thi Dar Badar
Ussay Gulistaan Ka Pata Diya.
Mera Dil K Shehar-E-Milaal Tha Ussay Roshni Main Bassa Diya
Meri Aankh Aur Khaab Ko Kisi Aik Pal Main Beham Kia
Merey Aainoon Pay Gard Thi Mah-O-Saal Ki
Woh Uttar Gaye.
Woh Jo Dhundh Thi Merey Chaar Soo Woh Bikhar Gaye
Sab Hi Roop Aaks-E-Jamaal Ke
Sab Hi Khaab Shaam-E-Wisaal Ke
Jo Ghubaar Waqt Main Sar Basar Thay Attay Howay
Woh Chammak Uthay.
Woh Jo Phool Raah Ki Dhool Thay
Woh Mehak Uthay.
Lay Saath Rang Bahar Ke
Chala Main Jo Sang Bahar Ke
Tu Sajja Diye Sab Hi Raastay
Kisi Dast Sho’abda Saaz Nay
Merey Naam Par Merey Waastay
Meri Bay Ghar Ko Panah Di
Meri Justaju Ko Nishaan Diya
Jo Yaqeen Say Bhi Haseen Hai
Mujhay Aik Aisa Ghumaan Diya
Woh Jo Reza Reza Wajood Tha
Usse Ek Nazar Main Baham Kiya
Kisi Khush Nigha Si Aankh Ne
Yeh Kamal Mujh Pe Karam Kiya