Kisi Kali Ne Bhi Dekha Na Aankh Bhar Ke Mujhe
Guzar Gayee Jaras-E-Gul Udaas Kar Ke Mujhe
Mein So Raha Tha Kisi Yaad Ke Shabistaan Mein
Jagaa Ke Chhod Gaye Qaafile Sahar Ke Mujhe
Mein Ro Raha Tha Muqadar Ki Sakht Raahon Mein
Udaa Ke Le Gayaa Jaadu Teri Nazar Ka Mujhe
Mein Teri Dard Kii Tugiyaaniyon Mein Doob Gaya
Pukaarte Rahe Taare Ubhar Ubhar Ke Mujhe
Tere Firaaq Ki Raatein Kabhi Na Bhoolengi
Maze Mile Isi Waqton Mein Umr Bhar Ke Mujhe
Zara Si Der Tharane De Ai Gam-E-Duniya
Bulaa Raha Hai Koi Baam Se Utar Ke Mujhe
Phir Aaj Aayi Thi Ik Mauj-E-Havaa-E-Tarab
Sunaa Gatee Hai Fasaane Idhar-Udhar Ke Mujhe