Kisi Kabr Ko Mera Bhi Intezaar Hoga
Ek Kafan Mera Bazaar Mein Bhi To Pada Hoga.
Woh Jagah Dekhne Ko Mann Mera Tarasta Hai
Jahan Iss Zameen Ke Insaan Ko Banaya Gaya Hoga.
Haqeeqat Ka Saamna Mujhe Bhi Karna Hai
Bas Ek Naye Pal Ko Chukar Zindagi Ko Badalna Hoga.
Mila Kisi Ka Saath To Jeena Aasaan Ho Jayega
Varna Iss Veeran Zindagi Mein Marr-Marr Ke Jeena Hoga.
Pyaar Mujhko Bhi Zindagi Se Bahut Hai
Magar Sone Se Pehle Khud Per Kafan Daalna Zaruri Hoga.
Maut Sochne Per Main Darr Bhi Jaata Hoon
Ki Khud Ko Uthane Mein Mujhe Haath To Lagana Hoga.