Kisi Ka Kya Bigarr Jaata Agar Hum Ek Hojaate
Hamesha Ki Tarhan Suraj Mashriq Se Nikalta
Aur Hamesha Ki Tarhan Shab Bhar Sitare Jagmagaate
Aur Baharon Main Gul-O-Bulbul Mehakte Aur Chehekte
Kisi Ka Kya Bigarr Jaata Agar Hum Ek Hojaate
Na Main Gumsum Raha Karta Na Tum Phirti Akeli
Na Jeewan Main Kami Rehti Na Aankhon Main Nami Rehti
Na Mausam Roohte Hum Se Na Roz-O-Shab Giraan Hote
Guzarte Pal Humain Yun Hasrat Se Dekha Nahi Karte
Agar Hum Ek Hojaate To Roohon Main Bebasi Jo Paayi Jaati Hai
Khalish Si Zindagi Main Phir Pas-E-Ehsaas Kyun Rehti
Koi Hasrat Nahi Rehti Koi Bhi Aas Kyun Rehti
Haan Uddasi Paas Kyun Rehti
Kisi Ka Kya Bigarr Jaata Agar Hum Ek Hojaate