Kise Sunaaoun Gham-E Zeest Ka Fasana Main
Ke Raazdan To Koi Aaj Tak Milaa Hi Nahin
Karoon Main Raah Ki Dushwaari Kaa Gila Kis Say
Main Woh Musaafir-E Kam- Kosh Ke Chalaa Hi Nahin
Kabhi Milo To Main Sab Kuch Hi Tum Se Keh Daaloon
Ke Roz Roz To Milnay Kaa Silsila Hi Nahin
Teraa Suraagh Nahin Phir Bhi Dhoond Loongi Tujhay
Bajuz Khudaa Kay Meraa Koi Aasra Hi Nahin
Hazaar Baatain Hain Jo Mujh Peh Log Kartay Hain
Magar Yeh Dil Haiy Keh Paththar, Kabhi Jalaa Hi Nahin
Aa Phir Aaj Aaina Hi Daikh Lo
Ke Sach To Aaj Tak Tu Nay Kabhi Sunaa Hi Nahin