Kis Ko Gumaan Ho Ga
Jis Roz Tu Dulhan Banay Ge
Tub Ajab Saman Ho Ga
Teray Sehray Kay Geet Ganay
Paristaan Se Pareyaan Aaian Ge
Janat Ke Hoorain Aa Ker
Phir Tujhay Dulhan Banain Ge
Khaak Behshat Ka Ho Ga Ubtan
Muqaddas Mehndi Tujhain Lagain Ge
Sitaroon Se Bharain Ge Teri Maang
Hoz Kosar May Mujhay Nehlain Ge
Teray Hounton Pay Sajnay Kay Leya
Rung Aapis May Ulajh Jain Gay
Teri Aankhon May Lugnay Kay Leya
Koh Toor Se Surmay Aaian Gay
Phir Surmay Ko Upni Keemat Ka Hoga Ehsaas
Teri Aankhon Kay Jub Woh Ho Ga Paas
Teri Zulfoon May Mehkain Gay
Khawab Nagar Kay Gulaab
Pooray Joban Pay Ho Ga Uss Roz Tera Shabaab
Aye Meray Chaand Daikh Ker Tujhay Uss Roz
Chodah Ka Chaand Bhe Sharma Jaye Ga
Phir Husan Kay Sub Hawaloon Kay Leya
Tera, Faqat Tera He Naam Aaye Ga
Meri Kismat Pay Raskh Kerain Gay
Us Roz Ehl-E-Behshat Aur Sub Yaraan-E-Jahaan
Meri Khoosh Bakhti Kay Kissay Hoon Gay Aam
Uss Roz Kuch Yahaan, Kuch Wahaan
Kis Ko Gumaan Ho Ga Jis Roz Tu Dulhan Banay Ge
Tub Ajab Samaan Ho Ga