Khwaish Khuda Ki Chaman Mein Sirf Phul Ho
Yeh Baat Alag Hai Ki Ek Din Woh Bhi Dhul Ho
Sagar Ki Lehrein Nikli Phir Liye Doli Sahil Ki Or
Aarzu Lekar Itni Ki Rishta Is Baar To Qabul Ho
Mehanga Hai Duniya Mein Jeena Umeed Liye
Insaan Ke Khwaabon Par Na Koi Meshsul Ho
Zindagi Ka Safar Nikalta Hai Kai Reigistano Se
Parchaye Ko Manzil Samajhne Ki Na Bhul Ho
Jeene Ke Liye Mila Sagar Mein, Tinke Ka Sahara
-Ë—rohin-‘ Tu Khudda Ka Thoda Sa To Maqbul Ho