Khwabon Ke Safar Ka Hun Khamosh Tamannayi
Ye Meri Haqiqat Hai Ab Baat Samajh Aayi
Rangeeni-E-Bustan Mein Milti Jo Dawaa-E-Gham
Bulbul Ke Taraanon Se Khoti Na Wo Re Aayi
Anjaam-E-Tanazzul Se Aagaah Thi Shabnam Bhi
Jazbaat-E-Qadam Bosi Ko Magar Na Daba Paayi
Paamaal-E-Aqeedat Ne Auhoom Isharon Par
Kee Baazi-E-Dil Qurban O Uski Saza Paayi
Thokar Ne Mujhe Jinki Uswaa-E-Zamana Kiya
Un Hi Ke Tabassum Se Aanton Pe Bahaar Aayi
Armaan-E-Taqarrub Tha Anzoor-E-Nazar Tum The
Ghaflat Se Main Kar Betha Hwabon Se Shanaasaayi
Ab Jab Ke Jawaan Jazbe Aiwand-E-Zamaana Hain
Me’raaj Umangon Ki B Sirf Hai Tanhaayi
Roodaad-E-Shab-E-Gham Ka As Ye Hi Khulaasa Hai
Jab Khoon-E-Jigar Paaya Ab Rang Hinaa Laayi
Kar Hi Li Dam-E-Furqat Am Ne Badi Hasrat Se
Chawkhat Pe Tajammul Ke Uflis Si Jabeen Saayi
Parwaanon Ki Mehfil Thi Muztar Bhi Unhi Mein Tha
Woh Mahw-E-Shughal Aur Ye Dna Sa Tamaashaayi