Khwaaishon Ka Kya Hai Ae Dost,
Vo To Har Dam Badlti Aur Badhati Jaati Hai.
Khud Ke Liye Jeene Ki Hasrat Bhi Kya Hai Ae Dost,
Apane Liye To Har Koi Jee Jaata Hai.
Kisi Gair Ko Apne Dil Mai Basaana To Badi Baat Nahi Ae Dost,
Baat To Tab Ho Jab Hum Khud Kisi Ke Dil Mai Bas Jaate Hai.
Haste Huye Zaher Gumo Ka Pina To Asaan Hai Ae Dost,
Mushkil To Zaher Gumo Ka Peeke Bhi Muskuraake Jee Jaana Hai.
Duniya Ke Jhamelon Se Bachke Kahaan Jaaoge Ae Dost,
Isi Duniya Mai Jeena Aur Mar Jaana Hai.
Apni Khushiyaan Paane Ko Kitani Fursat Paaoge Ae Dost,
Asali Khushi To Kisi Ki Khushi Mai Loot Jaana Hai.
Sapane Sanjo Na To Koi Badi Baat Nahi Ae Dost,
Baat To Sapano Ko Haqiqat Mai Badal Jaana Hai.
Zaroorat To Is Zamaane Mai Kisi Ko Bhi Kisi Ki Nahi Hoti Ae Dost,
Phir Bhi Bagair Baatti Ke Diya Jal Nahi Paata Hai.
Khud Hi Chalna- Chalke Girna- Aur Girke Sambhalana To Kuchh Bhi Nahi Ae Dost,
Mazaa To Girne Se Pahele Hi Sambhal Jaane Mai Hai.
Khudke Chun Ne Se Raahein Mil Jaati To Zindagi Ke Kya Kahene Ae Dost,
Raahein To Banti Hai Manzil Tak Pahoch Jaane Se.
Dil Se Sawaal Karne Se Kya Hota Hai Intezaar Mai Ae Dost,
Kaheti Hai “Gudia” Sawaal-O-Jawaab Hote Nahi Intezaar Mai.
Hai Bewafa Sab Kahene Se Kya Hota Hai Ae Dost,
Bewafa Se Bhi Wafa Kar Guzarte Hai Pyaar Karne Waale.
Shama Pe Ialzaam Kyon Parwaane Ke Jal Jaane Ka Ae Dost,
Jabki Parwaane Ki Jalan Mai Shama Bhi To Jale Din Raat Hai.
Kyon Banke Parwaana Shama Ke Liye Jale? Puchhane Se Kya Hoga Ae Dost,
Jabki Parwaane Ke Kaaran Shama Sadiyon Se Badnaam Hai.