Khwaab Tooten Hain To Ab Khwaab Ka Charcha Na Karo
Dil Ke Tukro Ko Sar-E-Aam Yun Rusva Na Karo
Dard Hi Dard Ye Mehboob Diyaa Karten Hain
In Se Ailan E Mohabbat Ke Tamanna Na Karo
Zulmat-E-Shab Me Sehar Me Na Rahe Farq Koi
Apni Aankhon Me Ab Itna Bhe Andhera Na Karo
{ Zulmat-E-Shab = Tyranny Of Night }
Aah Wo Shok Jawaani Pe Wo Chanchal Se Hansee
Ghum Hi Ho Jaaye Na Khamoshi Me Eysaa Na Karo
Yaad Guzre Huve Lamho Ke Bohot Aayegi
Tum Bhee Sookhe Huve Zakhmon Ko Kureda Na Karo
Uski Her Baat Ho Jeyse Ke Fasaana Koee
Tum Jo Maano To Bahaano Pee Bharosaa Na Karo
Ungliyaan Tum Pee Uthengi To Tumhaari Apni
Dil-E-Bezaar Ka Baazaar Me Charcha Na Karo
Uski Maasum Nigaahon Me Sawaal Uthte Hain
Usse Tum Kuch Bhee Chupaane Ka Iraadaa Na Karo
Abke Tajdeed-E-Wafa Ka Nahi Imkaan Safiya
Khwaab Dekha Na Karo Khwaab Dikhaya Na Karo
{Tajdeed-E-Wafa= Renewal Of The Contract Of Love}