Khwaab Toote Hue Dil Dukhaatay Rahay
Der Tak Woh Humein Yaad Aatay Rahay
Kaat Lee Aanso’oun Mein Shab-E-Hijr Yun
Shair Kehtay Rahay, Gungunaatay Rahay
Teri Justujoo Paraai Hui, Gham Nahi
Yeh Tassali Bhi Apne Liye Kam Nahi
Hum Ne Tum Se Kiya Thaa Jo Ehad-E-Wafa
Saans Jab Tak Chali, Hum Nibhaatay Rahay
Us Ne Dhoka Diya Bhi To Phir Kia Hua
Ji Na Maane Ke Us Ko Kahen Bewafa
Zakhm Us Se Jo Bakhshish Mein Hum Ko Milay
Ek Saleeqe Se Dil Mein Sajaatay Rahay
Jis Ke Kadmoon Tallay Dil Bichaatay Rahay
Jis Ke Ilzaam Sar Pe Uthaatay Rahay
Aaj Dekho Lagaata Hai Tohmat Wohi
Umer Bhar Aib Jis Ke Chupaatay Rahay
Kis Ko Mujrim Kahen Ab Karen Kia Gilla
Tarq-E-Talluq Na Unki Na Meri Raza
Apni Qismat Mein ‘Madiha’ Woh Tha Hi Nahi
Khwaab Palkoon Pe Jis Ke Sajaatay Rahay …