Khuwaab Saath Rehne Ke Nit Naye Dekhata Hai
Ye Jo Asal Mausam Hai Ye Guzarta Jaata Hai
Khud Ko Sabz Hi Rakha Aansoun Ki Baarish Mein
Warna Hijar Ka Mausam Kis Ko Raas Aata Hai
To Hawaon Ka Mausam Tujh Ko Kiya Khabar Janaan
Gard-E-Badgumaani Se Dil Toot Bhi Jaata Hai
Aik Tum Hi The Warna Aadmi Muhabbat Mein
Laakh Aayein Deewarein Raastey Banata Hai
Hum To Khair Nadaan The Muntazir Rahe Warna
Kaun Apni Beenayi Is Tarah Ganwata Hai
Kitne Khuwaab Aankhon Mein Zakham Ban Ne Lagte Hain
Jab Hawa Ke Honton Pe Tera Naam Aata Hai
Senkron Dukaanein Hain Wisal Ke Charaghon Mein
Kaun Hijar Mein Apna Ab Lahoo Jalata Hai
Sanam Khan