Khushiyon Ke Aalam Mein Ankhey Chalakti Hai
Duniya Ke Riwazon Mien Koi Sans Bhatakti Hai
Kuch Pane Ke Ehsas Mein Bikhrey Hue Sapne
Ankhonn Ki Syahi Mein Der-E-Ruh Bhatakti Hai

Yun To Her Taraf Sazta Ho Mahaul Nazaron Ka
Na Jane Kyun Nazar Der Per Jaker Hi Atakti Hai
Badnaseebi Ka Saya Dhak Gaya Do Muradon Ko
Sansey To Chalti Hai Magar Ek Jaan Hi Simatti Hai
Muddaton Intezar Kiya Phir Bhi Rahi Gehri Udasi
Kaisi Ye Jindgi Jahan Maut Bhi Nahi Bhatkti Hai
Shehnai Ki Goonz Mein Tanhai Ko Bebas Ye Dil
Saaz Ki Awaaz Ko Hasrat-E-Ruh Tarasti Hai
Pinjre Ka Panchi Samaje Hai Der-E-Dil “Sona”
Sone Ke Pankh Magar Perwaz Kasakti Hai