Khushi Ki Meri Bhi Aarzoo Thi Lekin,
Muqaddar Ko Mere Ye Manjoor Na Tha.
Ilzaam Us Bedard Pe Lagayein Bhi To Kaise,
Uska Bhi Koi Kusoor Na Tha.
Ruk Gaye Kadam Raah -E-Ulfat Mein Jane Kyon,
Apni Manzil Se Mai Zara Bhi Door Na Tha.
Ke Kar Deti Roshan Meri Taarikiyon Ko,
Shayad Chahat Mein Uski Wo Noor Na Tha.
Ke Asar Kar Jaate Mere Sabhi Kalaam Us Par,
Mai Shayar Itna Mashhoor Na Tha.
Karta Raha Guzarishein Us Patthar Se Har Pal,
Ye -ŗtanha-Dil- Kabhi Itna Majboor Na Tha.