Khushi Ka Gum Hai Na Gum Ki Koi Khushi Ab To
Bohat Udaas Guzarti Hai Zindgee Ab To
Tere Bagher Bhi Dil Ki Tasaliun Ke Liye
Ik Intzaar Ki Shab Thi So Dhal Chuki Ab To
Ik Ashna Ke Bicharne Se Kai Nahi Badla
Hawa-E-Shehar Bhi Lagti Hai Ajnabi Ab To
Tamam Raat Rahi Dil Mein Roshni Ki Lakeer
Misaal-E-Shama Sehar Wo Bhi Jal Bujhi Ab To
Chali Thi Jin Se Yehaan Rasm-E-Khudnahedari
Onhein Azeez Hua Zikr-E-Khudkhushi Ab To
Kaha Gaye Wo Shanasa Wo Ajnabi Chehray
Ujaarh Si Nazar Ati Hai‚  Har Gali Ab To