Khush Hoon Ki Kya Pal Tha Woh
Aaj Bhi Saath Hai Kya Sach Mein Kal Tha Woh
Ek Besudh Zindagi Mast Si Har Sham Dhalti Thi
Khushio Ka Samaa Hawa Payal Baandh Chalti Thi
Dosto Ki Yaad Hain Har Baat Woh Mujhko
Gaate,Bajaate Guzri Har Raat Woh Mujhko
Din Mein Ghumne-Phirne Se Kab Fursat Thi
Raat Mein Padhte Huwe Chai Peene Ki Aadat Thi
Sunday To Der Tak So Kar Hi Guzarte The
Monday Ko Jaldi Uthne Ki,Mushkil Se Koshish Karte The
College Jana To Jaise Ek Choti Mulakat Thi
Phir Se Class Bunk ,Aaj Movie Jaane Ki Baat Thi
Mauj Karte Huwe Din Jaldi Se Guzarta Tha
Hostel Aane Mein Jane Kyun Late Hi Hota Tha
Bekhauf Se Jeete The,Khud Me Khoye Rehte The
Kabhi Ladte Bhi The,Aur Der Tak Rote The
Raat Karwato Mein,Khuli Aankho Se Sote Bhi The
Lunch Se Pehle Hi Canteen Chale Jaate The
Waha Se Class Phir Shayad Hi Laut Pate The
Do Dosto Ka Woh Saath,Kitna Yaad Aata Hain
Wo Guzra Haseen Waqt Aankhe Nam Kar Jata Hain
Wo Guzre Lamhe Kuch Adhure Se Pure Sapne
Naa Lautegi Jo Raahein Kuch Log Apno Se Bhi Apne
Manzil Ko Bhul Gaye,Itne Haseen Raaste The
Manzil Pe Bichad Jaege Ye Bhi Hum Jaante The
Samjha Lege Dil KoHar Roz Sochte The
Par Woh Khushnuma Khwaabo Ki Duniya
Kaise Bhula Doon Aakhir
Jahan Hum Kitna Khush Rehte The