Khush-Haal Se Tum Bhi Lagte Ho
Yun Afsurda Tu Ham Bhi Nahi
Per Jaanane Wale Jante Hain
Khush Ham Bhi Nahi Khush Tum Bhi Nahi
Tum Apni Khudi Ke Pehre Mein
Aur Daam-E-Ghurur Mein Jakde Hue
Ham Apne Zu’am Ke Narghe Mein
Anaa Hamare Haath Pakde Hue
Ek Mudat Se Ghaltaan Pechaan
Tum Rabt-O-Gurez Ke Dharon Mein
Ham Apne Ap Se Uljhe Hue
Pachtawon Ke Angaron Mein
Mehsur-E-Talatum Aj Bhi Ho
Go Tum Ne Kinaare Dhund Liye
Tufaan Se Sambhle Ham Bhi Nahi
Kehne Ko Sahare Dhund Liye
Khamoshi Se Tum Mehr-E-Balb
Jug Beet Gaye, Tuk Baat Kiye
Suno, Khel Adhura Chodte Hain
Bina Chaal Chale, Bina Maat Diye
Jo Bhaagte Bhaagte Thak Jayein
Wo Saye Ruk Bhi Sakte Hain
Chalo Todo Kasam, Iqraar Karein
Ham Dono Jhuk Bhi Sakte Hain…